us parchai se pare,
aaj jeene ka bada mann hai.
kaale thande aasman ke tale,
aaj kho jaane ka bada mann hai.
aasha aur nirasha se pare,
aaj jeene ka bada mann hai.
jugnuon ko fir se dekh chamakte,
aaj hasne ka bada mann hai.
khwabon ko rakh pare,
aaj jeene ka bada mann hai.
gunguna kar un yaadon ko,
aaj rone ka bada mann hai.
rakh panno aur shyahi ko pare,
aaj jeene ka bada mann hai.
do labz us ghazal ke,
aaj dohrane ka bada mann hai.
us parchai se pare,
aaj jeene ka bada mann hai.
kaale thande aasman ke tale,
aaj peene ka bada mann hai.
image: weheartit.com
10 comments:
Ye Kaisa mann hai...:P Nice Composition..:)
Amazing....mazaa aa gaya padh ke.
Thanks Guys! :)
really everytime I am reading it...I m falling in love with it! Hats off to u...
are pankaj bhai.. :) :) dil garden garden ho gaya ki aapko ye itni pasand aa gayi..
maine to ye bahut hi jyada casually likha tha :) :)
but i am really glad u liked it so so much... thanks a ton!
@rups: toh jiyo :)
achchi kavita likhi hai
priyanks...
Ohhh.. u read it.. :) :)
glad! i am.
priyanka,
and btw... tujhe to pata hi hai... i literally "lived" last night after writing this...
:D :D :D
bahut badhia....! shayar ho gaye malum hote ho :P
Hey Chintz,
Main kahan shayar.. wo to jo bhi kuch hai bas aap logon se seekha hai :) :)
Post a Comment