aaj subah ugte suraj ne...
palat palat un peele panno ko..
mujh sang yaadon ko bhi jaga diya..
baarish yahan hui jo waisi..
palkon ko bheegoti.. wo..
bhini bhini mitti ki khushboo..
baithe hue khidki ke sahare...
takte yun bahar..
bheegi hui sadken.. aur unpe chalte..
kuch wo do-ek kadam..
aur fir.. naa jaane kyun laga aisa..
kareeb hi shayad koi...
ek anjaani si dhun baja raha tha..
jee to hua yun ki..
dhundhun.. dekhun.. ki wo kaun hai..
ehsaaas hua fir yun.. ki wo koi aur nahi..
bas mann ke ander ki aaawaz hai..
khush tha shayad wo..
ya fir... shayad beparwaah..
shaam bhi kuch waisi hi thi..
an-ant baatein aur..
tan tan karti sheeshe ki botle..
baat wo jo bas...
chhand shabdon me kahni thi...
naa jaane kab..
ek puri kahani me tabdeel ho gayi..
Jab dhyan gaya us...
thande padte neele aasman ki taraf..
to laga yun ki..
ummeed bas ab is aane waali raat se hai..
neendon me hi sahi..
khwab koi to naya wo le aaye..
image: weheartit.com
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Listening to... The Scientist by Coldplay