Friday, January 22, 2016

SAHI.. GALAT.. AUR YE ZINDAGI.

#google images

kabhi kabhi mujhe ye samajh nahi aata..
ki sahi aur galat ki paribhasha itni bikhri si kyun hain.
jo paschim me sahi hai.. wo purab me galat...
aur jo purab ke uttar me sahi hai.. wo wahan dakshin me galat..
agar hum iss sabhyta se hain to ye galat hai..
aur uss samaaj se hain to wo galat hai..
jo iss samay sahi hai.. wo beete waqt me galat..
aur jo beete waqt me sahi tha.. unpe to aascharya hota hai.

aadhi se jyada zindagi..
sahi aur galat ki uljhi hui gaanth ko suljhane me hi nikal jaati hai.
agar koi dili iccha bhi ho.. to pehle ye sochna padta hai..
kahin ye kuch galat to nahi.
humare saaare rishton ki buniyad sirf..
sahi aur galat pe tiki hoti hai.
chahe jitna bhi sahi kar lo.. par koi galti nahi honi chahiye.
aur ye kaun bhed kare ki kya galat hai kya sahi..
mujhe isska koi ilm nai.

hum apna sara dhyan.. zindagi bhar..
galtiyon ko dhundhne me laga dete hai..
khas taur pe dusron ki.
har kisi ko aaj apne se jyada dusron ki padi hoti hai..
ye nahi ki wo humari fikr karte hain...
bas shayad isliye..
ki auron, gairon aur..
khastaur se apnon ki zindagi ke chutkule lene me..
hum aur humare samaaj ki khaasi dilchaspi hoti hai.

agar mauka mile to shayad humara samaaj..
zindagi chalane ke liye bhi ek driving license jaari karna shuru kar de..
ki haan bhai ab tum apni zindagi me faisla lene ke kabil ho.
par usme bhi kitni aazadi hogi? shayad kuch bhi nahi.
zindagi ke har mod aur failse pe fir bhi..
humare bade.. rishtedar aur samaajik thulle khade honge..
nahi.. iss baat ki ijazat humara parivar nahi deta..
uss baat ki ijazat humara samaaj nahi deta.
aakhir kis baat ki ijazat hoti hai humen?
shayad sirf "unki iccha ke bina kuch naa karne ki".

parivar.. rishtedar aur samaaj..
sabko sath lekar chalein.. to chalna mushkil.
akele chalein.. to jeena mushkil.
agar hum zidd karke kuch khaas logon ko mana bhi len..
to sabse chhupana padta hai..
"baat ghar ke ander rahni chahiye"
ghum firke har kahani wahin..
sahi aur galat pe aa jaati hai.

chupane se kya haqeekat badal jaati hai?
aaj kise nahi pata.. ki lifafe me lipti botle..
sharab ki hai? nahi.. firbhi chhupana hai.
kya lifafa udha dene se..
uss insaan ke baare me humara nazariya badal jata hai?
nahi.. badalta hai to sirf humara nazariya zahir karne ka tareeka..
saamne ki jagah.. ab hum fusfate hain..
"ssshhh... kaisa aaadmi hai.. roz sharab peeta hai".
are peeta hai to peeta hai.. unki zindagi hai..
use karne do sahi aur galat ka faisla.
par nahi.. galat.. galat.. galat.

agar koi mujhse puche..
ki sahi aur galat ki meri paribhasha kya hai.
to main kahunga...
agar meri zindagi hai.. mera faisla hai..
to sahi hai.
aur meri zindagi faisla tumhara hai..
to galat hai.
naaa jaaane itni chhoti si baat ko samajhne me..
humare parivar, rishtedar aur samaaj ko..
kitna aur waqt lagega.

No comments: